my sixth poem
"Hume nahi pata ke ab hum kyun likh rahe hain,
Par sach maano to ab hum sach mein dil ka dard likh rahe hain.
Hume kabhi bhi nahi pata tha ke pyar mein hamari halat aisi ho jayegi,
Ke abb hamri bhi ginti ranjhe joggi ke saath ho jayegi.
Hum toh khuda se hamesha yeh hi dua karenge ke kabhi pyar na kare koi,
Agar kare toh yeh ardaas hai ke rahe uska humraaz uske saath koi.
Yun na pata tha ke pyar mein hamari aisi halat ho jayegi,
Ke duniya ab hamari harr ada pe muskurati hui nazar aayegi.
Yun toh pyar karne waalo ki ginti paglo mein hoti hai,
Chalo yeh bhi sahi hai ke issi bahane duniya ko unse koi ummed nahi hoti hai.
Isi umeed ke sahare saari zindgi guzaar lenge,
Tu nahi par phir bhi teri mehak ke karan har pal guzaar lenge.
Kya kare pyar karke humne aisi sazaa paye hai,
Pata hai tu nahi hai saath mere, Par teri yaad hi aaj tak saans chalati aaye hain."
No comments:
Post a Comment