ZINDGII Aaj bhi AJJEB si DAASTAANN
Zindgi ki bhi ajeeb dastaan hai,
Jane kis pal zameen, aur kis pal aasmaan or jahaan hai.
Sapne bhi khoye kuch yahaan hai,
Girta hai harr rooz, aur na jaane sambhalnaa kahaan hai.
Iske ( Zindgi ) pehlu se woh pal chun lo,
Chahe ho gham, magar ek umeed bun lo.
Na choodoo uska haath, jo hai aaj tere saath,
bea zubaan hai woh jazbaat,
Haquiquat to yeh hai dostoon ke, hum hai iske ( Zindgi ) mahutaajj.
Ajeeb si paheli hai,
na yeh teri na meri saheli hai,
Ek safar hai, aur waqt sahaara hai.
Beeta hua kal, woh tera aaj hai,
Ullajh rahe hain kayee rishteee behisaab,
khafa hai kyun, agar nahi hai koi jawaab.
Yeh zindgi bus ek bahaana hai,
Kyun bahate ho ashq , agar pata hai ek yaad ne hai sataana,
Kar lo dosti is lamhee se,
Aur kya pata yeh zakhm hi ban jaaye jeene ka ek afsaana.
Zindgi khoobsoorat hi hai dostooinn,
Ek nazaquat hai ismein, jisne hasna aur rulanaa hai.
Hootooin pe hai dua, aur kya pata kab yahaan se chale jaanaa hai.
Zindgi khuda ki rehmat hai, aur ise kabool kar,
Hazaarion khwaaisheein hai, aur ab na soch kar khud ko majboorr karr...
No comments:
Post a Comment