Wednesday, January 28, 2009

WORLD OF HAPPINESS







The world is not as it seems to be,
May be some one is out there who needs u more than me.

Its about finding happiness in the other persons eyes,
As you are still not clear what u really want from life.
Its a never ending journey of joy and sorrow,
And a hope for a better tomorrow.

My friend fight for a cause, make it realize,
So that you live as a soul in other peoples lives.

The peace of mind that you have always hoped for,
Will automatically be there, even though u have always longed it for.

May I wish for a better good life, With no pain in anyone's eyes,
And will PRAY to keep it there as long,
Till the GOD sings this lovely beautiful song.

Tuesday, January 27, 2009



ZINDGI KE WOH HAASEEEN PALL.





Har ekk din ek naye shuruaat hoti hain,
Kyunki kuch bhi ho jaye magar zindgi toh phir bhi chalti rehti hain.

Naye naye haath thaam kar isko aage bhadna aata hain,
Aur tabhi purane zaamane ko bhulana ise samaye sikha jaata hain.
Par hum kaise bhulaye us purane zaamne ko,
Jinki mehak se aaj bhi hamari ankhen namm ho jati hain.

Galat mat sochna doston yeh to khusi ke aansu hain,
Un Dostion ke liyea jo kabhi hume apna kaha karte the,
Aur jaan dene ka bahana toh din mein kayee baar dohraa diya karte thee.

Unke wayde pe hume shaq nahi tha,
Par yeh na pata tha ke ek din sach mein hume bhula kar kisi aur wayde pe mar mitenge woh.

Unke wayde ka toh gam nahi tha,
Par kya kare unke ilava kisi aur ko apna kehne ka haq bhi hume nahi tha,

yeh bhi sach hai ke aaj hamare aas paas kehne ko sab kuch hain,
Par jo cheezein bemool thi unko paane ke liyea kuch anmool cheezein aur pal kho hain,
Shayad tabhi aaj yeh kavita likhte huea hum roo diyea hain.

Sunday, January 25, 2009

ZINDAGI EK PAHELI...





Zindgi ki bhi ajjeb si daastaan hain,
manzil toh pata hain, par naa jane raah kahan hain.

Jaane anjaane mein loog mil jate hain,
Bus pal do pal ki khushiyaan aur zindgi bhar ke gham de jaate hain.

Iq aajeb si paheli hain yeh zindgi,
Jo na suljhaye sulajhti hain,
Aur na bhujaye bhujti hain.
Shayad yeh bhi bhagwaan ki anmol deen hain,
Jo ke aaj PHIR bhi yeh dillo main dhadakti hain.

Naa hi koi samjha hain aaj tak isko,
kyunki isko bhi nahi pata ke yeh apna SAHIL kahe kisko.

Jis haath ko thaamne ki kooshish karti hain,
Woh begaana ho jata hain.
Shayad tabhi isko jeene ka koi aur begaana bahana mil jaata hain.

Bahana badal badal ke thak chuki yeh zindgi hain,
Aur ab bus yeh sagar ki tarah thamne ko apna SAHIL dhoonti hain.