Saturday, January 17, 2009




Naam aaneek par RISHTA siraf EKKK..






MAA ki bhi ajeeb si daastaan hain,
Kabhi iske haath mein CHADII toh kabhi AANKH mein liyea paani hain.

Kya kuch nahi woh apne BAACHO ke liyea nahi karti hain,
Phir bhi hum kehte hain ke MAARTI hain islikyea meri mummy nahi aachi hain.

Abb pata chalta hai ke woh maar sab se aachi thi,
Jiska dard ke baat woh bhi band kamre mein apne AAP ko kosti thi,

Rone pe hameshaa maa ne hi haath hamara thaama hain,
Kyunki yeh rishta toh baaki har rishte se 9 MAHINE purana hain.

Jab bhi raah chalte KUTE ne hum pe ghuraaya hain,
To bus hume maa ka hi naam yaad aaya hain.

Pata nahi kya kya kurbani woh hamare liyea harr rooz nahi deti hain,
Jisi ke aaj tak hamare paas nahi koi ginti hain.

Harr rooz woh 5:30 baje uth ke usne hamare liyea naye SUBZEE banaye hain,
Aur 7 baje school pahunchne ke liyea 6 baje se hi uthne ki GHUAAR lagai hain.

Hamesha hi woh hamari bhalai ke liyea soochti hain,
Ab kya bataye doston ke MAA aisi hi hoti hain.

Friday, January 16, 2009

my sixth poem




"Hume nahi pata ke ab hum kyun likh rahe hain,
Par sach maano to ab hum sach mein dil ka dard likh rahe hain.

Hume kabhi bhi nahi pata tha ke pyar mein hamari halat aisi ho jayegi,
Ke abb hamri bhi ginti ranjhe joggi ke saath ho jayegi.

Hum toh khuda se hamesha yeh hi dua karenge ke kabhi pyar na kare koi,
Agar kare toh yeh ardaas hai ke rahe uska humraaz uske saath koi.

Yun na pata tha ke pyar mein hamari aisi halat ho jayegi,
Ke duniya ab hamari harr ada pe muskurati hui nazar aayegi.

Yun toh pyar karne waalo ki ginti paglo mein hoti hai,
Chalo yeh bhi sahi hai ke issi bahane duniya ko unse koi ummed nahi hoti hai.

Isi umeed ke sahare saari zindgi guzaar lenge,
Tu nahi par phir bhi teri mehak ke karan har pal guzaar lenge.

Kya kare pyar karke humne aisi sazaa paye hai,
Pata hai tu nahi hai saath mere, Par teri yaad hi aaj tak saans chalati aaye hain."
My third poem...


Yeh tesri poem aap pe likh raha hun,
Aur ab tak jawab dhund raha hun ke kyun kar raha hun.

Soch raha hun ke is tarah likhne se ek kitab ban jayegi,
Jisko padh ke duniya ko hamesha apne humraaz ki yaad ayegi.

Chalo issi bahane aap pe likhi kitaab kissi ke kaam toh ayegi,
Jis ki kamai se kujh Budhe logo aur bichde bacho ki zindgi savar jayegi.

Aap ko dekh kar kuch aisa lagta hai ke,
Hamesha kuch aacha likhne ka dil karta hai.

Apko PLEA kar raha hun, meri is kahani poem ki zubani pe gaur farmao,
Aur ONE DAY ya 5 DAY ka nahi, koi long innings ka plan banao.

Aapki respect hum sahi mein dil se karte hain,
Aur har ek waheguru ji klo ardass mein hum apke liyea dua karte hain.

Bus aur kuch nahi kehna hai,
Aur yeh umeed hai ke issi poem aur sketch ki tarah apke saath rehna hai.

Aap bhi soch rahe hoge ke har ek poem alag si likh raaha hun,
To mera bolna yeh hai ke pehli ANDA, dusri PASTRY aur tesri BRUSH (Sooch is time pe li thi, actually likhi baad main thi) karte huea likh raha hun.