Thursday, January 22, 2009


HAPPINESS IS ALL AROUND






Khushi ki toh bachpan mein humne koi zaroorat nahi thi,
Kyunki woh suraj ki kirno ki tarah hame NASEEB mein hi thi.

Na thi koi samajh khushi ya gham ki tab,
Shayad tabhi kehte thee BACHPAN usi ko sab.

Khushiyoon ne toh bachpan mein suraj ki kirno ki tarah hamara AANGAN mehkaya tha,
Shayad yeh bhi sach tha ke us samaye hamare sarr pe maa baap ka saya tha.

Jab se bachpan ke baad se hosh sambhala hain,
KHUSHI aur GHAM se pad gaya hamara paala hain.

Khushi paane ke liyea aaj zamane se hume ladna padta hain,
Kyunki gham to aaj kal duniya mein FREE milta hain.

Yeh bhi sach hai ke aaj kal kisi se koi ummed na kare koi,
Agar kare toh ardass hai ke sada rahe uske saath uska naseeb ban ke koi.

Mann toh sabka khushi paane ka karta hain,
Parr SANT KABIR ne "sukh mein simran" karne ka doha bataya tha,
Shayad tabhi aaj kal koi bhi unko nahi sunta hain

" In punjabi SUKH vehle SHUKRANA
DUKH vehle ARDASS
HARR vehle SIMRAN."

Mann toh karta hain ke kaash khushiyoon ki bhi ek dukan hoti,
Kharid lete saari cheezein jo ke benaam hi sahi parr kuch kaam ki hi hoti.

Shayad bhagwaan ko bhi yeh dukan ka hona manzoor nahi tha,
Tabhi unhone cheez banaye KHUSHI,
Jis ke saath judh kar hi insaan ko insaan ki pehchaan hoti.


Just a thought

" Kyunki do waqt ki roti toh harr koi kama leta hain,
Tabhi aaj chaain ki neend sone wala aaj kal banglo mein nahi sadak pe milta hain."

No comments:

Post a Comment