Saturday, January 17, 2009




Naam aaneek par RISHTA siraf EKKK..






MAA ki bhi ajeeb si daastaan hain,
Kabhi iske haath mein CHADII toh kabhi AANKH mein liyea paani hain.

Kya kuch nahi woh apne BAACHO ke liyea nahi karti hain,
Phir bhi hum kehte hain ke MAARTI hain islikyea meri mummy nahi aachi hain.

Abb pata chalta hai ke woh maar sab se aachi thi,
Jiska dard ke baat woh bhi band kamre mein apne AAP ko kosti thi,

Rone pe hameshaa maa ne hi haath hamara thaama hain,
Kyunki yeh rishta toh baaki har rishte se 9 MAHINE purana hain.

Jab bhi raah chalte KUTE ne hum pe ghuraaya hain,
To bus hume maa ka hi naam yaad aaya hain.

Pata nahi kya kya kurbani woh hamare liyea harr rooz nahi deti hain,
Jisi ke aaj tak hamare paas nahi koi ginti hain.

Harr rooz woh 5:30 baje uth ke usne hamare liyea naye SUBZEE banaye hain,
Aur 7 baje school pahunchne ke liyea 6 baje se hi uthne ki GHUAAR lagai hain.

Hamesha hi woh hamari bhalai ke liyea soochti hain,
Ab kya bataye doston ke MAA aisi hi hoti hain.

No comments:

Post a Comment